dushmani mujhse aa nibha to sahi
dushmanī mujh se aa nibhā to sahī
merī hālat pe muskurā to sahī
aag meñ ghir gayā hai phir momin
mo.ajiza ai ḳhudā dikhā to sahī
ik ta.alluq banā rahe tujh se
mat vafā kar magar satā to sahī
jī to kartā hai tujh se baat karūñ
tū bhī mujh se nazar milā to sahī
tere mere kī baat jaane de
umr kitnī bachī batā to sahī
kaise ḳhud ko sambhāl rakhā hai
nusḳha 'āsif' mujhe likhā to sahī
dushmani mujh se aa nibha to sahi
meri haalat pe muskura to sahi
aag mein ghir gaya hai phir momin
moajiza ai KHuda dikha to sahi
ek talluq bana rahe tujh se
mat wafa kar magar sata to sahi
ji to karta hai tujh se baat karun
tu bhi mujh se nazar mila to sahi
tere mere ki baat jaane de
umr kitni bachi bata to sahi
kaise KHud ko sambhaal rakha hai
nusKHa 'asif' mujhe likha to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.