dushwar yun bhi naql-e-makani paDi mujhe
dushvār yuuñ bhī naql-e-makānī paḌī mujhe
raste hī se bisāt uThānī paḌī mujhe
kuchh din to us ke dil pe rahā hukmarāñ magar
ye saltanat bhī chhoḌ ke jaanī paḌī mujhe
us ne kahā ki kaise bikhartā hai aadmī
muTThī meñ bhar ke ḳhaak uḌānī paḌī mujhe
ik shaḳhs muskurā ke mujhe dekhne lagā
bas aa.ine se gard haTānī paḌī mujhe
tum ko to dhaḌkanoñ meñ basā.e hue hai dil
tum ko bhī dil kī baat batānī paḌī mujhe
us kā ishāra tark-e-marāsim kā thā 'salīm'
ruḳhsat ke vaqt aañkh jhukānī paḌī mujhe
dushwar yun bhi naql-e-makani paDi mujhe
raste hi se bisat uThani paDi mujhe
kuchh din to us ke dil pe raha hukmaran magar
ye saltanat bhi chhoD ke jaani paDi mujhe
us ne kaha ki kaise bikharta hai aadmi
muTThi mein bhar ke KHak uDani paDi mujhe
ek shaKHs muskura ke mujhe dekhne laga
bas aaine se gard haTani paDi mujhe
tum ko to dhaDkanon mein basae hue hai dil
tum ko bhi dil ki baat batani paDi mujhe
us ka ishaara tark-e-marasim ka tha 'salim'
ruKHsat ke waqt aankh jhukani paDi mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.