Dub jaane ke siwa ishq mein chaara hi nahin
Duub jaane ke sivā ishq meñ chārā hī nahīñ
is samundar kā kisī samt kinārā hī nahīñ
talḳhī-e-zaḳhm-e-jigar jis ko gavārā hī nahīñ
us ko nāvak nigah-e-nāz ne maarā hī nahīñ
sunte aate haiñ ki ik roz qayāmat hogī
aap ne zulf-e-pareshāñ ko sañvārā hī nahīñ
parda-e-dil se sadā yaar kī aa hī jaatī
ham tazabzub meñ rahe us ko pukārā hī nahīñ
baaz ham aise tasavvur se ki ab tak jis ne
ek naqsha bhī tirā Thiik utārā hī nahīñ
phir shikāyat hai mire dil ke taḌapne kī abas
taak kar tiir koī aap ne maarā hī nahīñ
kyā hai dariyā-e-mohabbat ke udhar kyā ma.alūm
terī talvār ne us ghaaT utārā hī nahīñ
un kī mahfil kī ajab baat hai kyā arz kareñ
tazkira sab kā hai ik zikr hamārā hī nahīñ
mil ga.ī us kī nazar merī nazar se āḳhir
ab to denā hī paḌā dil koī chārā hī nahīñ
aur bhī dīda-e-dil rakhte haiñ pur-ḳhūñ ham se
kuchh tire hijr meñ ye rañg hamārā hī nahīñ
pārsā.ī meñ hai fard us kī hayā ai 'betāb'
shauq-ālūd nazar us ko gavārā hī nahīñ
Dub jaane ke siwa ishq mein chaara hi nahin
is samundar ka kisi samt kinara hi nahin
talKHi-e-zaKHm-e-jigar jis ko gawara hi nahin
us ko nawak nigah-e-naz ne mara hi nahin
sunte aate hain ki ek roz qayamat hogi
aap ne zulf-e-pareshan ko sanwara hi nahin
parda-e-dil se sada yar ki aa hi jati
hum tazabzub mein rahe us ko pukara hi nahin
baz hum aise tasawwur se ki ab tak jis ne
ek naqsha bhi tera Thik utara hi nahin
phir shikayat hai mere dil ke taDapne ki abas
tak kar tir koi aap ne mara hi nahin
kya hai dariya-e-mohabbat ke udhar kya malum
teri talwar ne us ghaT utara hi nahin
un ki mahfil ki ajab baat hai kya arz karen
tazkira sab ka hai ek zikr hamara hi nahin
mil gai us ki nazar meri nazar se aaKHir
ab to dena hi paDa dil koi chaara hi nahin
aur bhi dida-e-dil rakhte hain pur-KHun hum se
kuchh tere hijr mein ye rang hamara hi nahin
parsai mein hai fard us ki haya ai 'betab'
shauq-alud nazar us ko gawara hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.