Dub kar aa raha hun bhitar se
Duub kar aa rahā huuñ bhītar se
ek motī milā samundar se
chain kī saañs le sakūñgā ab
dushmanī ho ga.ī muqaddar se
ek aañsū kā bojh bhārī hai
buuñd se dariyā se samundar se
be-sabab ḳhuub muskurātā hai
tū bhī TuuTā huā hai andar se
dekhne meñ sitāre lagte ho
aap dhartī se haiñ yā ambar se
haq adaa.ī meñ haiñ lage donoñ
dard andar se zaḳhm bāhar se
aa.ine to yahāñ salāmat haiñ
phuul zaḳhmī hue haiñ patthar se
Dub kar aa raha hun bhitar se
ek moti mila samundar se
chain ki sans le sakunga ab
dushmani ho gai muqaddar se
ek aansu ka bojh bhaari hai
bund se dariya se samundar se
be-sabab KHub muskuraata hai
tu bhi TuTa hua hai andar se
dekhne mein sitare lagte ho
aap dharti se hain ya ambar se
haq adai mein hain lage donon
dard andar se zaKHm bahar se
aaine to yahan salamat hain
phul zaKHmi hue hain patthar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.