Dub kar gham ki nadi mein muskurana chhoD den
Dub kar gham ki nadi mein muskurana chhoD den
Shiv Om Misra Anvar
MORE BYShiv Om Misra Anvar
Duub kar ġham kī nadī meñ muskurānā chhoḌ deñ
aap kī ḳhātir ye dīvāne zamāna chhoḌ deñ
phir samundar par lagegī nasl-e-ādam kī qatār
abr dhartī par agar paanī ko laanā chhoḌ deñ
merī tāqoñ meñ dhare merī ġharībī ke charāġh
silsila sūraj se apnā kyā batānā chhoḌ deñ
aap kī rangat badalne kā mujhe bas ḳhauf hai
dhuup se apne ta.alluq ko baḌhānā chhoḌ deñ
maut ham ko dekh kar DhūñDhegī ḳhud rāh-e-farār
zindagī ke ham agar naḳhre uThānā chhoḌ deñ
Dub kar gham ki nadi mein muskurana chhoD den
aap ki KHatir ye diwane zamana chhoD den
phir samundar par lagegi nasl-e-adam ki qatar
abr dharti par agar pani ko lana chhoD den
meri taqon mein dhare meri gharibi ke charagh
silsila suraj se apna kya batana chhoD den
aap ki rangat badalne ka mujhe bas KHauf hai
dhup se apne talluq ko baDhana chhoD den
maut hum ko dekh kar DhunDhegi KHud rah-e-farar
zindagi ke hum agar naKHre uThana chhoD den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.