Dub kar par utar gae hain hum
Duub kar paar utar ga.e haiñ ham
log samjhe ki mar ga.e haiñ ham
ai ġham-e-dahr terā kyā hogā
ye agar sach hai mar ga.e haiñ ham
ḳhair-maqdam kiyā havādis ne
zindagī meñ jidhar ga.e haiñ ham
yā bigaḌ kar ujaḌ ga.e haiñ log
yā bigaḌ kar sañvar ga.e haiñ ham
maut ko muñh dikhā.eñ kyā yā rab
zindagī hī meñ mar ga.e haiñ ham
haa.e kyā shai hai nashsha-e-mai bhī
farsh se arsh par ga.e haiñ ham
ārzūoñ kī aag meñ jal kar
aur bhī kuchh nikhar ga.e haiñ ham
jab bhī ham ko kiyā gayā mahbūs
misl-e-nik.hat bikhar ga.e haiñ ham
shādmānī ke rañg-mahloñ meñ
'shād' bā-chashm-e-tar ga.e haiñ ham
Dub kar par utar gae hain hum
log samjhe ki mar gae hain hum
ai gham-e-dahr tera kya hoga
ye agar sach hai mar gae hain hum
KHair-maqdam kiya hawadis ne
zindagi mein jidhar gae hain hum
ya bigaD kar ujaD gae hain log
ya bigaD kar sanwar gae hain hum
maut ko munh dikhaen kya ya rab
zindagi hi mein mar gae hain hum
hae kya shai hai nashsha-e-mai bhi
farsh se arsh par gae hain hum
aarzuon ki aag mein jal kar
aur bhi kuchh nikhar gae hain hum
jab bhi hum ko kiya gaya mahbus
misl-e-nikhat bikhar gae hain hum
shadmani ke rang-mahlon mein
'shad' ba-chashm-e-tar gae hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.