Dub ke dekh liya dard ki gahrai mein
Duub ke dekh liyā dard kī gahrā.ī meñ
aaj kī raat guzar jā.egī tanhā.ī meñ
sham-e-dil laayā huuñ ye soch ke mahfil meñ tirī
ho kamī kuchh na tirī anjuman-ārā.ī meñ
be-sabab hogā mire saath meñ rusvā vo bhī
naam us kā bhī hai shāmil merī rusvā.ī meñ
ba.ad muddat ke use dekhā to ehsās huā
har dabī choT ubhar aatī hai purvā.ī meñ
yuuñ to har ek adā hai tirī zālim lekin
hai qayāmat hī qayāmat tirī añgḌā.ī meñ
chāk-dāmāñ kī numā.ish meñ ye ġham haiñ mujh ko
vo bhī maujūd thā us vaqt-e-tamāshā.ī meñ
kah do mutrib se 'nazar' sāz-e-mohabbat na bajā
us kī pāzeb kī jhankār hai shahnā.ī meñ
Dub ke dekh liya dard ki gahrai mein
aaj ki raat guzar jaegi tanhai mein
sham-e-dil laya hun ye soch ke mahfil mein teri
ho kami kuchh na teri anjuman-arai mein
be-sabab hoga mere sath mein ruswa wo bhi
nam us ka bhi hai shamil meri ruswai mein
baad muddat ke use dekha to ehsas hua
har dabi choT ubhar aati hai purwai mein
yun to har ek ada hai teri zalim lekin
hai qayamat hi qayamat teri angDai mein
chaak-daman ki numaish mein ye gham hain mujh ko
wo bhi maujud tha us waqt-e-tamashai mein
kah do mutrib se 'nazar' saz-e-mohabbat na baja
us ki pazeb ki jhankar hai shahnai mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.