Dub raha hai subh ka tara
Duub rahā hai sub.h kā taarā
mujh ko achānak kis ne pukārā
ḳhushk huā har ashk hamārā
ruk gayā tūfāñ tham gayā dhārā
aap pe koī harf na aa.e
mujh ko har ilzām gavārā
soz kī shiddat allah allāh
ashk hai dāman meñ angāra
taal suroñ ke saaz kahāñ ab
jhan jhan kartā hai ik-tārā
dekh sakegā dīda-e-hairāñ
un kā jalva un kā nazāra
aariz jaise sūraj chamkā
zulf hai goyā shab kā nazārā
Dub raha hai subh ka tara
mujh ko achanak kis ne pukara
KHushk hua har ashk hamara
ruk gaya tufan tham gaya dhaara
aap pe koi harf na aae
mujh ko har ilzam gawara
soz ki shiddat allah allah
ashk hai daman mein angara
tal suron ke saz kahan ab
jhan jhan karta hai ik-tara
dekh sakega dida-e-hairan
un ka jalwa un ka nazara
aariz jaise suraj chamka
zulf hai goya shab ka nazara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.