Dub sakti hai mere jaani naw
Duub saktī hai mere jaanī naav
mujh ko aatī nahīñ chalānī naav
ham haiñ ik dūsre ke jigrī dost
aise laḌte nahīñ haiñ paanī naav
baaḌh aane se pahle pahle dost
sīkhnī hai mujhe banānī naav
tez thā yuuñ bahāv paanī kā
ho ga.ī yaar paanī paanī naav
maiñ ne duniyā kī ek na maanī
baat sailāb kī na maanī naav
Dub sakti hai mere jaani naw
mujh ko aati nahin chalani naw
hum hain ek dusre ke jigri dost
aise laDte nahin hain pani naw
baDh aane se pahle pahle dost
sikhni hai mujhe banani naw
tez tha yun bahaw pani ka
ho gai yar pani pani naw
main ne duniya ki ek na mani
baat sailab ki na mani naw
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.