Duba hua sa KHun mein KHawar dikhai de
Duubā huā sā ḳhuun meñ ḳhāvar dikhā.ī de
goyā sahar meñ shaam kā manzar dikhā.ī de
logo tumhārā shahr to shīshe kā shahr hai
phir bhī har ek haath meñ patthar dikhā.ī de
muddat se mere gaañv ke chūlhe bhī sard haiñ
lekin ik aag hai ki jo ghar ghar dikhā.ī de
ye kyā ki mere fikr-o-amal meñ tazād hai
mujh ko to koī mere hī andar dikhā.ī de
ye rāsta nayā hai zarā ġhaur to karo
shāyad yahīñ kahīñ pe mirā ghar dikhā.ī de
Duba hua sa KHun mein KHawar dikhai de
goya sahar mein sham ka manzar dikhai de
logo tumhaara shahr to shishe ka shahr hai
phir bhi har ek hath mein patthar dikhai de
muddat se mere ganw ke chulhe bhi sard hain
lekin ek aag hai ki jo ghar ghar dikhai de
ye kya ki mere fikr-o-amal mein tazad hai
mujh ko to koi mere hi andar dikhai de
ye rasta naya hai zara ghaur to karo
shayad yahin kahin pe mera ghar dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.