Dubta saf nazar aaya kinara koi dost
Dūbtā saaf nazar aayā kināra koī dost
phir bhī kashtī se nahīñ ham ne utārā koī dost
jab bhī nekī kā koī kaam kiyā hai ham ne
de diyā rab ne hameñ aap se pyārā koī dost
jiit par ḳhush ho tujhe is se ġharaz kyā mire yaar
terī ḳhushiyoñ ke liye jaan se haarā koī dost
kaise jī pā.eñge is shahr-e-pareshāñ meñ jahāñ
koī dushman hai hamārā na hamārā koī dost
kuchh to jiine ke liye ham ko bhī de rabb-e-karīm
sāġhar-o-mīnā kisī ġham kā sahārā koī dost
ruuTh jaa.e mirī āñkhoñ se bhale bīnā.ī
kaash rūThe na 'vasī' aañkh kā taarā koī dost
Dubta saf nazar aaya kinara koi dost
phir bhi kashti se nahin hum ne utara koi dost
jab bhi neki ka koi kaam kiya hai hum ne
de diya rab ne hamein aap se pyara koi dost
jit par KHush ho tujhe is se gharaz kya mere yar
teri KHushiyon ke liye jaan se haara koi dost
kaise ji paenge is shahr-e-pareshan mein jahan
koi dushman hai hamara na hamara koi dost
kuchh to jine ke liye hum ko bhi de rabb-e-karim
saghar-o-mina kisi gham ka sahaara koi dost
ruTh jae meri aankhon se bhale binai
kash ruThe na 'wasi' aankh ka tara koi dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.