Dubte dil ka ye manzar dekho
Dūbte dil kā ye manzar dekho
kitne bikhrāo haiñ andar dekho
aa.ina dekh ke jiine vaalo
daur-e-hāzir ke bhī tevar dekho
bujh ga.ī māthe kī ek ek shikan
ḳhālī hāthoñ kā muqaddar dekho
sang uThā.e hue phirte haiñ sanam
daur-e-rusvā.ī-e-āzar dekho
apnā hī aks digar dekhoge
apne andar se jo bāhar dekho
ham jahāñ ābla-pā chalte haiñ
tum bhī us raah pe chal kar dekho
pyaas dhartī kī bujhī hai na bujhe
pī ga.ī saat samundar dekho
ham nihattoñ pe 'sharar' TuuT paḌā
shomī-e-baḳht kā lashkar dekho
Dubte dil ka ye manzar dekho
kitne bikhrao hain andar dekho
aaina dekh ke jine walo
daur-e-hazir ke bhi tewar dekho
bujh gai mathe ki ek ek shikan
KHali hathon ka muqaddar dekho
sang uThae hue phirte hain sanam
daur-e-ruswai-e-azar dekho
apna hi aks digar dekhoge
apne andar se jo bahar dekho
hum jahan aabla-pa chalte hain
tum bhi us rah pe chal kar dekho
pyas dharti ki bujhi hai na bujhe
pi gai sat samundar dekho
hum nihatton pe 'sharar' TuT paDa
shomi-e-baKHt ka lashkar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.