Dubte logon ki KHatir aas ka tinka hun main
Dubte logon ki KHatir aas ka tinka hun main
Irshad Khan Sikandar
MORE BYIrshad Khan Sikandar
Dūbte logoñ kī ḳhātir aas kā tinkā huuñ maiñ
shā.irī gar kaam hai to kaam kā banda huuñ maiñ
ek din sochā rakhūñ ḳhud ko zarā tartīb se
aur phir sochā ki ye kyā kyā sochtā rahtā huuñ maiñ
rafta rafta pahnūñgā saare makhoTe sab kavach
vaqt do ai shahr vaalo dasht se aayā huuñ maiñ
Dubte logon ki KHatir aas ka tinka hun main
shairi gar kaam hai to kaam ka banda hun main
ek din socha rakhun KHud ko zara tartib se
aur phir socha ki ye kya kya sochta rahta hun main
rafta rafta pahnunga sare makhoTe sab kawach
waqt do ai shahr walo dasht se aaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.