Dubti nabz chalti hawa dekhna
Dūbtī nabz chaltī havā dekhnā
mausam-e-hijr meñ aur kyā dekhnā
rut badalte hue vaqt lagtā nahīñ
ghar se niklo to pahle fazā dekhnā
zindagī ik safar hai musalsal safar
TūTnā hai kahāñ silsila dekhnā
chhīn legī matā.a-e-ġham-e-ishq bhī
ek din mujh se merī anā dekhnā
mashġhala ban gayā zindagī kā mirī
ek hī shaḳhs kā rāsta dekhnā
ḳhvāb taskīn bhī hai aziyyat bhī hai
ḳhvāb ke baa'd tā۔bīr kyā dekhnā
ab kisī kī bhī pahchān mushkil nahīñ
aa gayā hai mujhe aa.ina dekhnā
sochnā shahr meñ amn kā raaj hai
jab bhī 'aḳhtar' koī dar khulā dekhnā
Dubti nabz chalti hawa dekhna
mausam-e-hijr mein aur kya dekhna
rut badalte hue waqt lagta nahin
ghar se niklo to pahle faza dekhna
zindagi ek safar hai musalsal safar
TuTna hai kahan silsila dekhna
chhin legi mataa-e-gham-e-ishq bhi
ek din mujh se meri ana dekhna
mashghala ban gaya zindagi ka meri
ek hi shaKHs ka rasta dekhna
KHwab taskin bhi hai aziyyat bhi hai
KHwab ke ba'd ta۔bir kya dekhna
ab kisi ki bhi pahchan mushkil nahin
aa gaya hai mujhe aaina dekhna
sochna shahr mein amn ka raj hai
jab bhi 'aKHtar' koi dar khula dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.