dudh jaisa jhag lahren ret aur ye sipiyan
duudh jaisā jhaag lahreñ ret aur ye sīpiyāñ
jin ko chuntī phir rahī haiñ motiyoñ sī laḌkiyāñ
baaġh meñ bachchoñ ke gird-o-pesh yuuñ uḌtī phireñ
jaise qātil apnā apnā DhūñDhtī huuñ titliyāñ
vo mujhe ḳhushiyāñ na de aur merī āñkheñ nam na hoñ
hai ye paimāñ zindagī ke aur mere darmiyāñ
bām-o-dar un ke havā kis pyaar se chhūtī rahī
chāñdnī kī god meñ jab so rahī thiiñ bastiyāñ
kal yahī bachche samundar ko muqābil pā.eñge
aaj tairāte haiñ jo kāġhaz kī nannhī kashtiyāñ
ghūmnā pahroñ ghane mahke hue ban meñ 'kamāl'
vāpsī meñ dekhnā apne hī qadmoñ ke nishāñ
dudh jaisa jhag lahren ret aur ye sipiyan
jin ko chunti phir rahi hain motiyon si laDkiyan
bagh mein bachchon ke gird-o-pesh yun uDti phiren
jaise qatil apna apna DhunDhti hun titliyan
wo mujhe KHushiyan na de aur meri aankhen nam na hon
hai ye paiman zindagi ke aur mere darmiyan
baam-o-dar un ke hawa kis pyar se chhuti rahi
chandni ki god mein jab so rahi thin bastiyan
kal yahi bachche samundar ko muqabil paenge
aaj tairaate hain jo kaghaz ki nannhi kashtiyan
ghumna pahron ghane mahke hue ban mein 'kamal'
wapsi mein dekhna apne hi qadmon ke nishan
- Book : Pakistani Adab (Pg. 425)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.