dun main taskin ruh ko apni
duuñ maiñ taskīn ruuh ko apnī
mujh ko koī ḳhabar to do apnī
muskurānā banā hai tere liye
mastiyoñ meñ magan raho apnī
jo munāfiq haiñ un se duur raho
dhaḌkanoñ kī sadā suno apnī
tum ko ik aur bhī nasīhat hai
sab kī sun lo magar karo apnī
apnā ronā lagā hī rahnā hai
tum sunāo nā kuchh kaho apnī
dun main taskin ruh ko apni
mujh ko koi KHabar to do apni
muskurana bana hai tere liye
mastiyon mein magan raho apni
jo munafiq hain un se dur raho
dhaDkanon ki sada suno apni
tum ko ek aur bhi nasihat hai
sab ki sun lo magar karo apni
apna rona laga hi rahna hai
tum sunao na kuchh kaho apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.