dur baiTha hua tanha sab se
duur baiThā huā tanhā sab se
jaane kyā soch rahā huuñ kab se
apnī tā.īd bhī dushvār huī
aa.ina TuuT gayā hai jab se
ghar se niklūñ to manā kar lā.ūñ
vo tabassum jo ḳhafā hai lab se
mere alfāz vahī haiñ lekin
merā mafhūm judā hai sab se
jab se āzād kiyā hai us ne
har nafas ek sazā hai tab se
dur baiTha hua tanha sab se
jaane kya soch raha hun kab se
apni taid bhi dushwar hui
aaina TuT gaya hai jab se
ghar se niklun to mana kar laun
wo tabassum jo KHafa hai lab se
mere alfaz wahi hain lekin
mera mafhum juda hai sab se
jab se aazad kiya hai us ne
har nafas ek saza hai tab se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.