dur baiTha raha bichhaune se
duur baiThā rahā bichhaune se
koī bahlā nahīñ khilaune se
ab ye dariyā ko kaun samjhā.e
aañkh uktā ga.ī hai rone se
kyā koī ḳhvāb ḳhush-gavār milā
mere hisse kī niiñd sone se
phir bhī kamra bharā bharā sā hai
lag ke baiThā huuñ ek kone se
maiñ samandar se pūchh saktā huuñ
kyā milā kashtiyāñ Dubone se
kyā ḳhabar vo na ho mirā 'rāval'
merā honā hai jis ke hone se
dur baiTha raha bichhaune se
koi bahla nahin khilaune se
ab ye dariya ko kaun samjhae
aankh ukta gai hai rone se
kya koi KHwab KHush-gawar mila
mere hisse ki nind sone se
phir bhi kamra bhara bhara sa hai
lag ke baiTha hun ek kone se
main samandar se puchh sakta hun
kya mila kashtiyan Dubone se
kya KHabar wo na ho mera 'rawal'
mera hona hai jis ke hone se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.