dur dur manzil ka kuchh pata nahin milta
duur duur manzil kā kuchh patā nahīñ miltā
raat ke musāfir ko rāsta nahīñ miltā
vo tirā sitam jis par dil ko pyaar aatā hai
ye mirī vafā jis kā kuchh sila nahīñ miltā
dard ke samundar meñ dil kī naav Duubī thī
tum kahāñ the aise meñ kuchh pata nahīñ miltā
sab ġham-e-mohabbat kā jabr sah nahīñ sakte
sab ko zahr piine kā hausla nahīñ miltā
haa.e us sitamgar ko us gile kā shikva hai
dil ke saare qisse meñ jo gila nahīñ miltā
dil kī rahguzāroñ ko jaane kyā huā 'masrūr'
ab koī bahāroñ kā qāfila nahīñ miltā
dur dur manzil ka kuchh pata nahin milta
raat ke musafir ko rasta nahin milta
wo tera sitam jis par dil ko pyar aata hai
ye meri wafa jis ka kuchh sila nahin milta
dard ke samundar mein dil ki naw Dubi thi
tum kahan the aise mein kuchh pata nahin milta
sab gham-e-mohabbat ka jabr sah nahin sakte
sab ko zahr pine ka hausla nahin milta
hae us sitamgar ko us gile ka shikwa hai
dil ke sare qisse mein jo gila nahin milta
dil ki rahguzaron ko jaane kya hua 'masrur'
ab koi bahaaron ka qafila nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.