Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dur dur tak sannaTa hai koi nahin hai pas

Iftikhar Qaisar

dur dur tak sannaTa hai koi nahin hai pas

Iftikhar Qaisar

MORE BYIftikhar Qaisar

    duur duur tak sannāTā hai koī nahīñ hai paas

    aa dariyā hoñT se lag le merī pyaas

    ishq ke pahle pahle vaar se vo bhī TuuT ga.ī

    ik jogī pyaar na aayā us laḌkī ko raas

    rozāna poshākeñ badlūñ aur ḳhushbūeñ bhī

    mere jism se utre merī miTTī baas

    saare dariyā phuuT paḌeñge ik duuje ke biich

    ik din aa kar mil jā.egī terī merī pyaas

    dil ke andar naach rahe haiñ kitne shaah hasīn

    mere ishq phūTī hai ab raushan laal kapās

    dur dur tak sannaTa hai koi nahin hai pas

    aa ja dariya honT se lag ja pi le meri pyas

    ishq ke pahle pahle war se wo bhi TuT gai

    ek jogi ka pyar na aaya us laDki ko ras

    rozana poshaken badlun aur KHushbuen bhi

    mere jism se utre na meri miTTi ki bas

    sare dariya phuT paDenge ek duje ke bich

    ek din aa kar mil jaegi teri meri pyas

    dil ke andar nach rahe hain kitne shah hasin

    mere ishq ki phuTi hai ab raushan lal kapas

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 334)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now