Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dur ghar se kahin is tarh bhi jaya jae

Badr Mohammadi

dur ghar se kahin is tarh bhi jaya jae

Badr Mohammadi

MORE BYBadr Mohammadi

    duur ghar se kahīñ is tarh bhī jaayā jaa.e

    der tak dhuup bārish meñ nahāyā jaa.e

    apnī yādoñ ko mire paas koī chhoḌ gayā

    ġham judā hone kis tarh bhulāyā jaa.e

    sab parā.e hue hone se parāyā us ke

    sochtā huuñ kise ab apnā banāyā jaa.e

    dil dukhāne se kisī unheñ miltī hai ḳhushī

    baat aisī hai to phir mujh ko rulāyā jaa.e

    hone vaalī hai charāġhoñ hukūmat qaa.em

    rāt-bhar ke liye sūraj ko chhupāyā jaa.e

    ḳhāmushī dekh ke phailī huī ābādī meñ

    ye parindoñ ne kahā shor machāyā jaa.e

    mil ke jiine ke liye log hue haiñ yakjā

    ziist bojh hai tanhā na uThāyā jaa.e

    dur ghar se kahin is tarh bhi jaya jae

    der tak dhup ki barish mein nahaya jae

    apni yaadon ko mere pas koi chhoD gaya

    gham juda hone ka kis tarh bhulaya jae

    sab parae hue hone se paraya us ke

    sochta hun kise ab apna banaya jae

    dil dukhane se kisi ka unhen milti hai KHushi

    baat aisi hai to phir mujh ko rulaya jae

    hone wali hai charaghon ki hukumat qaem

    raat-bhar ke liye suraj ko chhupaya jae

    KHamushi dekh ke phaili hui aabaadi mein

    ye parindon ne kaha shor machaya jae

    mil ke jine ke liye log hue hain yakja

    zist ka bojh hai tanha na uThaya jae

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now