dur hai ba-huzur lagta hai
duur hai bā-huzūr lagtā hai
go hai mastūr uur lagtā hai
āb-o-nān-o-havā nahīñ kaafī
tere dil meñ futūr lagtā hai
jā rahe ho ḳhudā ke ghar yā'nī
vo tumheñ ḳhud se duur lagtā hai
garche hargiz mirā qusūr nahīñ
phir bhī merā qusūr lagtā hai
ek 'ālam pe bhī nahīñ raazī
ye dil-e-nā-subūr lagtā hai
zehn āzād fikr hastī hai
jo gunā kā tanūr lagtā hai
ek miTTī kā Dher hai vo to
jo tumheñ koh-e-tūr lagtā hai
roz hotā huuñ ham-kalām us se
roz yaum-e-nushūr lagtā hai
ḳhud phañsāte ho ḳhud chhuḌāte ho
khel koī huzūr lagtā hai
dur hai ba-huzur lagta hai
go hai mastur ur lagta hai
aab-o-nan-o-hawa nahin kafi
tere dil mein futur lagta hai
ja rahe ho KHuda ke ghar ya'ni
wo tumhein KHud se dur lagta hai
garche hargiz mera qusur nahin
phir bhi mera qusur lagta hai
ek 'alam pe bhi nahin raazi
ye dil-e-na-subur lagta hai
zehn aazad fikr hasti hai
jo guna ka tanur lagta hai
ek miTTi ka Dher hai wo to
jo tumhein koh-e-tur lagta hai
roz hota hun ham-kalam us se
roz yaum-e-nushur lagta hai
KHud phansate ho KHud chhuDate ho
khel koi huzur lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.