dur hi se nihaar lenge hum
duur hī se nihār leñge ham
tum ko sharminda kyā kareñge ham
sūfiyoñ kī tarah jiyeñge ham
dard meñ raqs bhī kareñge ham
muskurā kar karo hameñ ruḳhsat
tum bhī ro.e to kyā kareñge ham
de ke jaate ho zindagī kī duā
kyā tumhāre binā jiyeñge ham
apne ghar meñ bhale laḌeñ jhagḌeñ
ek hī chhat tale raheñge ham
pahle māñ-bāp kī kareñ ḳhidmat
bāl-bachche bhī paal leñge ham
iid kā roz hai chalo 'bādal'
aaj un se gale mileñge ham
dur hi se nihaar lenge hum
tum ko sharminda kya karenge hum
sufiyon ki tarah jiyenge hum
dard mein raqs bhi karenge hum
muskura kar karo hamein ruKHsat
tum bhi roe to kya karenge hum
de ke jate ho zindagi ki dua
kya tumhaare bina jiyenge hum
apne ghar mein bhale laDen jhagDen
ek hi chhat tale rahenge hum
pahle man-bap ki karen KHidmat
baal-bachche bhi pal lenge hum
id ka roz hai chalo 'baadal'
aaj un se gale milenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.