dur hongi na ye balaen kya
duur hoñgī na ye balā.eñ kyā
be-asar jā.eñgī davā.eñ kyā
ham ne kah to diyā ki zinda haiñ
is ke aage bhī kuchh batā.eñ kyā
ham to apnā vajūd haar ga.e
aur ab daañv par lagā.eñ kyā
kyā ye kah deñ ki ham bahut ḳhush haiñ
aap se jhuuT bol jaa.eñ kyā
us ke aage chalī hai kab kis kī
phir muqaddar ko āzmā.eñ kyā
haath ḳhālī the ab bhī ḳhālī haiñ
phir tire dar se lauT jaa.eñ kyā
aap kahte haiñ ham se ronā mat
aisī hālat pe muskurā.eñ kyā
dur hongi na ye balaen kya
be-asar jaengi dawaen kya
hum ne kah to diya ki zinda hain
is ke aage bhi kuchh bataen kya
hum to apna wajud haar gae
aur ab danw par lagaen kya
kya ye kah den ki hum bahut KHush hain
aap se jhuT bol jaen kya
us ke aage chali hai kab kis ki
phir muqaddar ko aazmaen kya
hath KHali the ab bhi KHali hain
phir tere dar se lauT jaen kya
aap kahte hain hum se rona mat
aisi haalat pe muskuraen kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.