dur jo bah raha tha dariya sa
duur jo bah rahā thā dariyā sā
paas aa kar lagā vo sahrā sā
hausle kī hai baat āñdhī meñ
jal rahā hai charāġh nanhā sā
us kī ta.abīr talḳh hai kitnī
ḳhvāb dekhā jo ham ne mīThā sā
ajnabiyyat kī dhund se niklūñ
koī aa.e nazar jo apnā sā
thā chamaknā magar mirī qismat
gir gayā TuuT kar sitāra sā
jal rahe haiñ charāġh yādoñ ke
ye jo kamre meñ hai ujālā sā
tum ki Thahre hue kināre se
maiñ ki bahtā huā huuñ dariyā sā
phuul sā lag rahā thā jo kal tak
chubh rahā hai vo aaj kāñTā sā
muskurāte haiñ zaḳhm-e-dil 'ash.har'
hai nazar meñ koī masīhā sā
dur jo bah raha tha dariya sa
pas aa kar laga wo sahra sa
hausle ki hai baat aandhi mein
jal raha hai charagh nanha sa
us ki tabir talKH hai kitni
KHwab dekha jo hum ne miTha sa
ajnabiyyat ki dhund se niklun
koi aae nazar jo apna sa
tha chamakna magar meri qismat
gir gaya TuT kar sitara sa
jal rahe hain charagh yaadon ke
ye jo kamre mein hai ujala sa
tum ki Thahre hue kinare se
main ki bahta hua hun dariya sa
phul sa lag raha tha jo kal tak
chubh raha hai wo aaj kanTa sa
muskuraate hain zaKHm-e-dil 'ashhar'
hai nazar mein koi masiha sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.