dur karne ko ye tanhai kahan se aai
duur karne ko ye tanhā.ī kahāñ se aa.ī
tū nahīñ hai to ye parchhā.ī kahāñ se aa.ī
aañkh rakh kar huā jaatā hai ḳhudā kā munkir
vo nahīñ hai to ye bīnā.ī kahāñ se aa.ī
sabz kohsār chaman-zār daraḳhtoñ kī qatār
jo zamīñ aap ko dikhlā.ī kahāñ se aa.ī
bām-o-dar dekh ke hairān hai āñkheñ merī
aisī dīvāroñ pe ye kaa.ī kahāñ se aa.ī
dekh kar ġharq huī jaatī hai saarī duniyā
terī āñkhoñ meñ ye gahrā.ī kahāñ se aa.ī
terī rā'nā.ī-e-qudrat pe ta'ajjub hai ḳhudā
in pahāḌoñ meñ ye ūñchā.ī kahāñ se aa.ī
tere sajdoñ pe to nāzāñ haiñ farishte saare
tujh meñ 'arpit' ye jabīñ-sā.ī kahāñ se aa.ī
dur karne ko ye tanhai kahan se aai
tu nahin hai to ye parchhai kahan se aai
aankh rakh kar hua jata hai KHuda ka munkir
wo nahin hai to ye binai kahan se aai
sabz kohsar chaman-zar daraKHton ki qatar
jo zamin aap ko dikhlai kahan se aai
baam-o-dar dekh ke hairan hai aankhen meri
aisi diwaron pe ye kai kahan se aai
dekh kar gharq hui jati hai sari duniya
teri aankhon mein ye gahrai kahan se aai
teri ra'nai-e-qudrat pe ta'ajjub hai KHuda
in pahaDon mein ye unchai kahan se aai
tere sajdon pe to nazan hain farishte sare
tujh mein 'arpit' ye jabin-sai kahan se aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.