dur ke Dhol suhane hain
duur ke Dhol suhāne haiñ
sadiyoñ ke afsāne haiñ
sham-e-mohabbat jal ke samajh
ham tere parvāne haiñ
dil meñ utar kar dekho zarā
chāhat ke tah-ḳhāne haiñ
maañg rahe haiñ tujh se vafā
ham bhī kyā dīvāne haiñ
yāroñ kī bad niyyat se
sharminda yārāne haiñ
'hāfiz' ab TukḌe TukḌe
zehn ke tāne-bāne haiñ
dur ke Dhol suhane hain
sadiyon ke afsane hain
sham-e-mohabbat jal ke samajh
hum tere parwane hain
dil mein utar kar dekho zara
chahat ke tah-KHane hain
mang rahe hain tujh se wafa
hum bhi kya diwane hain
yaron ki bad niyyat se
sharminda yarane hain
'hafiz' ab TukDe TukDe
zehn ke tane-bane hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.