dur kuchh ahl-e-junun ki be-qarari kijiye
duur kuchh ahl-e-junūñ kī be-qarārī kījiye
ho sake to un kī thoḌī ġham-gusārī kījiye
jin ke bistar se nahīñ jaatī koī silvaT kabhī
un kī āñkhoñ meñ vafā ke ḳhvāb jaarī kījiye
'ishq kī qismat yahī hai 'ishq kā mansab yahī
jāgiye shab-bhar yūñhī aḳhtar-shumārī kījiye
nochiye zaḳhm-e-jigar ko aañkh bhar kar roiye
aur kab tak hijr meñ yuuñ āh-o-zārī kījiye
bhejiye koī bulāvā koī chiTThī bhejiye
apne un pardesiyoñ se shahr-dārī kījiye
log haiñ tayyār hijrat ke liye is shahr se
phir koī taaza nayā farmān jaarī kījiye
phir koī taaza bapā hone ko hai ik mā'rka
nahr-e-furāt-e-karbalā ko phir se jaarī kījiye
kaam aa.egā na koī mushkiloñ meñ dekhnā
jis qadar bhī dostoñ se vaz'-dārī kījiye
tishna-e-takmīl Thahre baat na koī 'nabīl'
guftugū jitnī bhī hai dil meñ vo saarī kījiye
aa.egā kab saañs varna dūsrā tujh ko 'nabīl'
dil ke zaḳhmoñ kī na aise parda-dārī kījiye
dur kuchh ahl-e-junun ki be-qarari kijiye
ho sake to un ki thoDi gham-gusari kijiye
jin ke bistar se nahin jati koi silwaT kabhi
un ki aankhon mein wafa ke KHwab jari kijiye
'ishq ki qismat yahi hai 'ishq ka mansab yahi
jagiye shab-bhar yunhi aKHtar-shumari kijiye
nochiye zaKHm-e-jigar ko aankh bhar kar roiye
aur kab tak hijr mein yun aah-o-zari kijiye
bhejiye koi bulawa koi chiTThi bhejiye
apne un pardesiyon se shahr-dari kijiye
log hain tayyar hijrat ke liye is shahr se
phir koi taza naya farman jari kijiye
phir koi taza bapa hone ko hai ek ma'rka
nahr-e-furaat-e-karbala ko phir se jari kijiye
kaam aaega na koi mushkilon mein dekhna
jis qadar bhi doston se waz'-dari kijiye
tishna-e-takmil Thahre baat na koi 'nabil'
guftugu jitni bhi hai dil mein wo sari kijiye
aaega kab sans warna dusra tujh ko 'nabil'
dil ke zaKHmon ki na aise parda-dari kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.