Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dur pas ho kar bhi

Sagar Huzoor puri

dur pas ho kar bhi

Sagar Huzoor puri

MORE BYSagar Huzoor puri

    duur paas ho kar bhī

    aam ḳhaas ho kar bhī

    pūjte rahe patthar

    rab-shanās ho kar bhī

    hai qubūl har aamad

    aa udaas ho kar bhī

    ghoñsle nahīñ bachte

    ab be-mās ho kar bhī

    ḳhushk ho nahīñ sakte

    hoñT pyaas ho kar bhī

    zaḳhm chhū nahīñ paa.ī

    rut kapās ho kar bhī

    bad-gumāñ nahīñ 'sāgar'

    bad-havās ho kar bhī

    dur pas ho kar bhi

    aam KHas ho kar bhi

    pujte rahe patthar

    rab-shanas ho kar bhi

    hai qubul har aamad

    aa udas ho kar bhi

    ghonsle nahin bachte

    ab be-mas ho kar bhi

    KHushk ho nahin sakte

    honT pyas ho kar bhi

    zaKHm chhu nahin pai

    rut kapas ho kar bhi

    bad-guman nahin 'sagar'

    bad-hawas ho kar bhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now