dur rah kar qarin jaisi hai
duur rah kar qarīn jaisī hai
be-yaqīnī yaqīn jaisī hai
merā koī makāñ nahīñ lekin
merī hālat makīn jaisī hai
naql hotī hai asl kā hissa
behtarī behtarīn jaisī hai
hijr se vasl kī mohabbat bhī
saañp aur āstīn jaisī hai
ye kaḌhā.ī hai us ke haath kī or
dekhne meñ machine jaisī hai
jis jagah chāheñ aap ruk jaa.eñ
dil kī vus.at zamīn jaisī hai
farq zāhir ho kis tarah un kā
har amānat amiin jaisī hai
āsmāñ se pare bhī dekhoge
aañkh gar dūrbīn jaisī hai
us kā itnā hī ehtirām karo
aarfī ārfīn jaisī hai
dur rah kar qarin jaisi hai
be-yaqini yaqin jaisi hai
mera koi makan nahin lekin
meri haalat makin jaisi hai
naql hoti hai asl ka hissa
behtari behtarin jaisi hai
hijr se wasl ki mohabbat bhi
sanp aur aastin jaisi hai
ye kaDhai hai us ke hath ki or
dekhne mein machine jaisi hai
jis jagah chahen aap ruk jaen
dil ki wusat zamin jaisi hai
farq zahir ho kis tarah un ka
har amanat amin jaisi hai
aasman se pare bhi dekhoge
aankh gar durbin jaisi hai
us ka itna hi ehtiram karo
aarfi aarfin jaisi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.