dur rahte hue maine jaana use
duur rahte hue maiñ ne jaanā use
jab vo merā hī hai kyoñ jatānā use
har na.ī shai jo khīñche hai apnī taraf
khīñch laayā hai rabt ek purānā use
jo duāoñ se paayā thā sab chhin gayā
mere bas meñ kahāñ maañg paanā use
aur sab yaad rahtā hai mujh ko magar
yaad rahtā nahīñ bhuul jaanā use
dur rahte hue main ne jaana use
jab wo mera hi hai kyon jatana use
har nai shai jo khinche hai apni taraf
khinch laya hai rabt ek purana use
jo duaon se paya tha sab chhin gaya
mere bas mein kahan mang pana use
aur sab yaad rahta hai mujh ko magar
yaad rahta nahin bhul jaana use
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.