dur se aati sada par raqsan
duur se aatī sadā par raqsāñ
paañv mere haiñ sabā par raqsāñ
us kā aatā hai añdhere meñ ḳhayāl
bijliyāñ jaise ghaTā par raqsāñ
tez āñdhī meñ havādis kī ham
sūkhe patte haiñ havā par raqsāñ
mere pindār ke mismār mahal
maiñ huuñ ab un kī binā par raqsāñ
ḳhuun ālūda mire paañv haiñ
aur maiñ apnī anā par raqsāñ
'shahlā' us rah-guzar-e-shauq pe chal
us ke naqsh-e-kaf-e-pā par raqsāñ
dur se aati sada par raqsan
panw mere hain saba par raqsan
us ka aata hai andhere mein KHayal
bijliyan jaise ghaTa par raqsan
tez aandhi mein hawadis ki hum
sukhe patte hain hawa par raqsan
mere pindar ke mismar mahal
main hun ab un ki bina par raqsan
KHun aaluda mere panw hain
aur main apni ana par raqsan
'shahla' us rah-guzar-e-shauq pe chal
us ke naqsh-e-kaf-e-pa par raqsan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.