dur se bagh-e-jahan dikhla ke diwana kiya
duur se bāġh-e-jahāñ dikhlā ke dīvāna kiyā
muttasil jaane na paayā maiñ ki vīrāna kiyā
dekhte hī mai ko sāġhar kā na kheñchā intizār
maare jaldī ke maiñ apnā haath paimāna kiyā
Turfa-tar ye hai ki apnā bhī na jaanā aur yūñhī
apnā apnā kah ke mujh ko sab se begāna kiyā
kuchh bahak kar baat gar bolūñ to huuñ māzūr maiñ
mujh ko hastī ne tirī āñkhoñ kī mastāna kiyā
bevafā.ī ne ye kis kī tujh ko samjhāyā 'hasan'
in dinoñ kyuuñ tū ne kam us taraf jaanā kiyā
dur se bagh-e-jahan dikhla ke diwana kiya
muttasil jaane na paya main ki virana kiya
dekhte hi mai ko saghar ka na khencha intizar
mare jaldi ke main apna hath paimana kiya
Turfa-tar ye hai ki apna bhi na jaana aur yunhi
apna apna kah ke mujh ko sab se begana kiya
kuchh bahak kar baat gar bolun to hun mazur main
mujh ko hasti ne teri aankhon ki mastana kiya
bewafai ne ye kis ki tujh ko samjhaya 'hasan'
in dinon kyun tu ne kam us taraf jaana kiya
- Book : Dehli Ka Dabistan-e-shayari (Pg. 270)
- Author : Meer Gulam Hasan
- Publication : Uttar Pardesh Urdu Acadmy (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.