dur se baat KHush nahin aati
duur se baat ḳhush nahīñ aatī
yuuñ mulāqāt ḳhush nahīñ aatī
tujh bin ai māh-rū kabhī mujh ko
chāñdnī raat ḳhush nahīñ aatī
jaa.e bosa ke gāliyāñ diije
ye ināyāt ḳhush nahīñ aatī
na mai-o-jām hai na saaqī hai
aisī barsāt ḳhush nahīñ aatī
us ke mazkūr ke sivā 'bedār'
aur kuchh baat ḳhush nahīñ aatī
dur se baat KHush nahin aati
yun mulaqat KHush nahin aati
tujh bin ai mah-ru kabhi mujh ko
chandni raat KHush nahin aati
jae bosa ke galiyan dije
ye inayat KHush nahin aati
na mai-o-jam hai na saqi hai
aisi barsat KHush nahin aati
us ke mazkur ke siwa 'bedar'
aur kuchh baat KHush nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.