dur se kya muskura kar dekhna
duur se kyā muskurā kar dekhnā
dil kā aalam dil meñ aa kar dekhnā
ḳhud ko gar pahchānñā chāho kabhī
mujh ko ā.īna banā kar dekhnā
qad kā andāza tumheñ ho jā.egā
apne saa.e ko ghaTā kar dekhnā
maiñ añdhere oḌh kar so jā.ūñgā
tum ujāloñ meñ samā kar dekhnā
shaam kā manzar hasīñ ho jā.egā
haath pe mehñdī lagā kar dekhnā
ho chalā zaḳhm-e-tamannā mundamil
ik zarā phir muskurā kar dekhnā
kis qadar 'āġhāz' ubaltā hai sakūñ
tum zarā aañsū bahā kar dekhnā
dur se kya muskura kar dekhna
dil ka aalam dil mein aa kar dekhna
KHud ko gar pahchanna chaho kabhi
mujh ko aaina bana kar dekhna
qad ka andaza tumhein ho jaega
apne sae ko ghaTa kar dekhna
main andhere oDh kar so jaunga
tum ujalon mein sama kar dekhna
sham ka manzar hasin ho jaega
hath pe mehndi laga kar dekhna
ho chala zaKHm-e-tamanna mundamil
ek zara phir muskura kar dekhna
kis qadar 'aghaz' ubalta hai sakun
tum zara aansu baha kar dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.