Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dur se mujhko na munh apna dikhao jao

Mushafi Ghulam Hamdani

dur se mujhko na munh apna dikhao jao

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    duur se mujh ko na muñh apnā dikhāo jaao

    bas bas dekh liyā maiñ tumheñ jaao jaao

    is qadar aamad o shud tum ko zarar rakhtī hai

    dostāñ har ghaḌī is maiñ na aao jaao

    ''jā.ūñ jā.ūñ'' jo karte ho to maan.e hai kaun

    jaao mat jaao jo jaate ho to jaao jaao

    aap āñkhoñ se mere ta.iiñ Dar lagtā hai

    mujh sitam-kushta se āñkheñ na milāo jaao

    tum jahāñ jaate ho mujh ko bhī ḳhabar hai sāhib

    apne jaane ko na bande se chhupāo jaao

    sair-e-gulshan ko agar jaate ho hamrāh-e-raqīb

    baḳhsho mere ta.iiñ mujh ko na bulāo jaao

    ham se kyā muñh ko chhupā.e hue jaate ho tum

    ham ne pahchān liyā muñh na chhupāo jaao

    aap merī kisī tarah na hove sulh

    fā.eda kuchh nahīñ bāteñ na banāo jaao

    kyā miyāñ 'mus.hafī' yaañ ke ta.iiñ kho.oge

    us ke kūche se kahīñ raḳht uThāo jaao

    dur se mujh ko na munh apna dikhao jao

    bas ji bas dekh liya main tumhein jao jao

    is qadar aamad o shud tum ko zarar rakhti hai

    dostan har ghaDi is ku main na aao jao

    jaun jaun hi jo karte ho to mane hai kaun

    jao mat jao jo jate ho to jao jao

    aap ki aankhon se mere tain Dar lagta hai

    mujh sitam-kushta se aankhen na milao jao

    tum jahan jate ho mujh ko bhi KHabar hai sahib

    apne jaane ko na bande se chhupao jao

    sair-e-gulshan ko agar jate ho hamrah-e-raqib

    baKHsho mere tain mujh ko na bulao jao

    hum se kya munh ko chhupae hue jate ho tum

    hum ne pahchan liya munh na chhupao jao

    aap ki meri kisi tarah na howe ki sulh

    faeda kuchh nahin baaten na banao jao

    kya miyan 'mushafi' yan ji ke tain khooge

    us ke kuche se kahin raKHt uThao jao

    Source :
    • Book : kulliyat-e-mas.hafii(awwa) (Pg. 305)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now