dur ta-hadd-e-ufuq manzar sunahra ho gaya
duur tā-hadd-e-ufuq manzar sunahrā ho gayā
rafta rafta shaam kā har rañg gahrā ho gayā
yā to ab aahaT koī mujh tak pahuñch paatī nahīñ
yā mire andar kā saarā shahr bahrā ho gayā
ek ik kar ke har ik tasvīr dhuñdlātī ga.ī
jab udāsī kā kuaañ kuchh aur gahrā ho gayā
kyā kahūñ kis shahr kī vīrāniyāñ āñkhoñ meñ thiiñ
jis ghane jañgal se maiñ guzrā vo sahrā ho gayā
dur ta-hadd-e-ufuq manzar sunahra ho gaya
rafta rafta sham ka har rang gahra ho gaya
ya to ab aahaT koi mujh tak pahunch pati nahin
ya mere andar ka sara shahr bahra ho gaya
ek ek kar ke har ek taswir dhundlati gai
jab udasi ka kuan kuchh aur gahra ho gaya
kya kahun kis shahr ki viraniyan aankhon mein thin
jis ghane jangal se main guzra wo sahra ho gaya
- Book : سکوت دشت (Pg. 62)
- Author : اقبال انجم
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس دہلی۔6 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.