dur tak bhi aahaT ki aas jab na rah jae
duur tak bhī aahaT kī aas jab na rah jaa.e
koī kis tarah dil ko shām-e-ġham meñ bahlā.e
kyā karūñ kahāñ jā.ūñ kaise jī ko bahlā.ūñ
chāñd kī bhī ThanDak jab dil pe aag barsā.e
jab bhī bazm-e-ḳhūbāñ meñ tum ko bhūlnā chāhā
dard kuchh sivā uTThā yaad tum sivā aa.e
hāl-e-dil na kuchh pūchho jaise umr bhar koī
muntazir kisī kā ho aur na vo kabhī aa.e
sochte hue jī meñ ab kabhī na ā.eñge
aaj phir tire dar se dil-shikasta uTh aa.e
tark-e-dostī par bhī aaj dekh kar un ko
dil pe ahd-e-ulfat ke naqsh sab ubhar aa.e
yaad aa rahī hogī un ko bhī mirī shāyad
raat der tak mujh ko yaad vo 'shahāb' aa.e
dur tak bhi aahaT ki aas jab na rah jae
koi kis tarah dil ko sham-e-gham mein bahlae
kya karun kahan jaun kaise ji ko bahlaun
chand ki bhi ThanDak jab dil pe aag barsae
jab bhi bazm-e-KHuban mein tum ko bhulna chaha
dard kuchh siwa uTTha yaad tum siwa aae
haal-e-dil na kuchh puchho jaise umr bhar koi
muntazir kisi ka ho aur na wo kabhi aae
sochte hue ji mein ab kabhi na aaenge
aaj phir tere dar se dil-shikasta uTh aae
tark-e-dosti par bhi aaj dekh kar un ko
dil pe ahd-e-ulfat ke naqsh sab ubhar aae
yaad aa rahi hogi un ko bhi meri shayad
raat der tak mujh ko yaad wo 'shahab' aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.