dur tak ek siyahi ka bhanwar aaega
duur tak ek siyāhī kā bhañvar aa.egā
ḳhud meñ utroge to aisā bhī safar aa.egā
aañkh jo dekhegī dil us ko nahīñ mānegā
dil jo dekhegā vo āñkhoñ meñ ubhar aa.egā
apne ehsās kā manzar hī badal jā.egā
aañkh jhapkegī to kuchh aur nazar aa.egā
aur chalnā hai to be-ḳhauf-o-ḳhatar niklo bhī
na kisī abr kā saaya na shajar aa.egā
ḳhatm ho jā.egī jab jashn-e-mulāqāt kī raat
yaad bujhte hue ḳhvāboñ kā nagar aa.egā
dur tak ek siyahi ka bhanwar aaega
KHud mein utroge to aisa bhi safar aaega
aankh jo dekhegi dil us ko nahin manega
dil jo dekhega wo aankhon mein ubhar aaega
apne ehsas ka manzar hi badal jaega
aankh jhapkegi to kuchh aur nazar aaega
aur chalna hai to be-KHauf-o-KHatar niklo bhi
na kisi abr ka saya na shajar aaega
KHatm ho jaegi jab jashn-e-mulaqat ki raat
yaad bujhte hue KHwabon ka nagar aaega
- Book : Gil-e-Lajvard (Pg. 97)
- Author : Khaleel Tanveer
- Publication : Al-asr Publications, Ahmedabad (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.