dur tak nahin milti rah shadmani ki
duur tak nahīñ miltī raah shādmānī kī
ishq jis ko kahte haiñ bhuul hai javānī kī
koī shai agar bhātī is jahān-e-fānī kī
ham bhī aarzū karte umr-e-jāvedānī kī
aap mere ashkoñ ko leñ na apne dāman par
aap ko nahīñ mālūm aag hai ye paanī kī
aaj apnī ḳhuddārī ban ga.ī sipar varna
choT khā ga.e hote un kī mehrbānī kī
aisā lag rahā hai ab un ke hijr meñ jaise
maut ne badal lī hai shakl zindagānī kī
ghuT ke rah ga.e dil meñ dil ke saare afsāne
kab zabāñ samajhtā hai koī be-zabānī kī
ḳhaar se shanāsā.ī chashm-poshiyāñ gul se
ye adā bhī dekhī hai ham ne bāġhbānī kī
ab jahāñ bhī le jaa.e ab jidhar bhī le jaa.e
dil ko sauñp dī ham ne rahbarī javānī kī
miT ga.ī vafā to phir dil meñ kyā rahā baaqī
ek hī nishānī thī merī be-nishānī kī
ai dil-e-sitam-ḳhurda un se rahm kī hasrat
ik dalīl-e-puḳhta hai terī nā-tavānī kī
ai 'ḳhalish' mujhe duniyā kis tarah bhulā.egī
jaan ban gayā huuñ maiñ is kī har kahānī kī
dur tak nahin milti rah shadmani ki
ishq jis ko kahte hain bhul hai jawani ki
koi shai agar bhati is jahan-e-fani ki
hum bhi aarzu karte umr-e-jawedani ki
aap mere ashkon ko len na apne daman par
aap ko nahin malum aag hai ye pani ki
aaj apni KHuddari ban gai sipar warna
choT kha gae hote un ki mehrbani ki
aisa lag raha hai ab un ke hijr mein jaise
maut ne badal li hai shakl zindagani ki
ghuT ke rah gae dil mein dil ke sare afsane
kab zaban samajhta hai koi be-zabani ki
KHar se shanasai chashm-poshiyan gul se
ye ada bhi dekhi hai hum ne baghbani ki
ab jahan bhi le jae ab jidhar bhi le jae
dil ko saunp di hum ne rahbari jawani ki
miT gai wafa to phir dil mein kya raha baqi
ek hi nishani thi meri be-nishani ki
ai dil-e-sitam-KHurda un se rahm ki hasrat
ek dalil-e-puKHta hai teri na-tawani ki
ai 'KHalish' mujhe duniya kis tarah bhulaegi
jaan ban gaya hun main is ki har kahani ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.