dur tak phail gai sab ki zaban tak pahunchi
duur tak phail ga.ī sab kī zabāñ tak pahuñchī
baat tab jā ke mire vahm-o-gumāñ tak pahuñchī
pyaas ne mujh ko to bas maar hī Daalā thā magar
kashish-e-zīst mirī āb-e-ravāñ tak pahuñchī
ḳhaak jab ḳhaak se Takrā.ī to ik shor uThā
jaan jab jaan se guzrī to amaañ tak pahuñchī
dhaḌkano meñ tirī aamad se vo jhankār huī
lab khule bhī nahīñ aur baat bayāñ tak pahuñchī
merī āñkhoñ se mire ḳhvāb churāne vaalā
pūchhtā hai ki mirī niiñd kahāñ tak pahuñchī
koī to shai thī 'alīnā' jo in āñkhoñ se chalī
dil meñ paivast huī aur rag-e-jāñ tak pahuñchī
dur tak phail gai sab ki zaban tak pahunchi
baat tab ja ke mere wahm-o-guman tak pahunchi
pyas ne mujh ko to bas mar hi Dala tha magar
kashish-e-zist meri aab-e-rawan tak pahunchi
KHak jab KHak se Takrai to ek shor uTha
jaan jab jaan se guzri to aman tak pahunchi
dhaDkano mein teri aamad se wo jhankar hui
lab khule bhi nahin aur baat bayan tak pahunchi
meri aankhon se mere KHwab churane wala
puchhta hai ki meri nind kahan tak pahunchi
koi to shai thi 'alina' jo in aankhon se chali
dil mein paiwast hui aur rag-e-jaan tak pahunchi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.