dur tak phaila nahin dil ka dhuan achchha hua
duur tak phailā nahīñ dil kā dhuāñ achchhā huā
phir simaT aa.iiñ mujhī meñ āñdhiyāñ achchhā huā
rañg le aa.iiñ mirī mad.hoshiyāñ achchhā huā
hosh meñ aane lagā saarā jahāñ achchhā huā
kyā ġhazab hotā agar vo āzmātā zid mirī
jhuk gayā ḳhud hī zamīñ par āsmāñ achchhā huā
chaar pal the vasl ke do-chār ghaḌiyāñ pyaar kī
zindagī guzrī unhīñ ke darmiyāñ achchhā huā
har haqīqat mere ḳhvāboñ se hī Takrātī rahī
saath mere the ka.ī vahm-o-gumāñ achchhā huā
āñdhiyāñ aa.iiñ uThā kar le ga.iiñ sab bastiyāñ
maiñ ne ik dil meñ banāyā thā makāñ achchhā huā
dur tak phaila nahin dil ka dhuan achchha hua
phir simaT aain mujhi mein aandhiyan achchha hua
rang le aain meri madhoshiyan achchha hua
hosh mein aane laga sara jahan achchha hua
kya ghazab hota agar wo aazmata zid meri
jhuk gaya KHud hi zamin par aasman achchha hua
chaar pal the wasl ke do-chaar ghaDiyan pyar ki
zindagi guzri unhin ke darmiyan achchha hua
har haqiqat mere KHwabon se hi Takraati rahi
sath mere the kai wahm-o-guman achchha hua
aandhiyan aain uTha kar le gain sab bastiyan
main ne ek dil mein banaya tha makan achchha hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.