dur tak phaile rahe tanhaiyon ke silsile
duur tak phaile rahe tanhā.iyoñ ke silsile
āñsuoñ kī dhund meñ parchhā.iyoñ ke silsile
ek to sāvan kā mausam us pe maazī kī phuvār
zaḳhm taaza kar ga.e purvā.iyoñ ke silsile
Dūbte jaate haiñ sāhil girte jaate haiñ makāñ
baḌh rahe haiñ har taraf añgnā.iyoñ ke silsile
sat.h-e-dariyā se na gahrā.ī kā andāza huā
Duub kar ham ko mile gahrā.iyoñ ke silsile
aaj duniyā kah rahī hai jin ko 'zarrīñ' devtā
un ke maazī meñ bhī haiñ rusvā.iyoñ ke silsile
dur tak phaile rahe tanhaiyon ke silsile
aansuon ki dhund mein parchhaiyon ke silsile
ek to sawan ka mausam us pe mazi ki phuwar
zaKHm taza kar gae purwaiyon ke silsile
Dubte jate hain sahil girte jate hain makan
baDh rahe hain har taraf angnaiyon ke silsile
sath-e-dariya se na gahrai ka andaza hua
Dub kar hum ko mile gahraiyon ke silsile
aaj duniya kah rahi hai jin ko 'zarrin' dewta
un ke mazi mein bhi hain ruswaiyon ke silsile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.