dur tak rah mein kanTe hain bahut
dur tak rah mein kanTe hain bahut
Mohammad Ali Mauj Rampuri
MORE BYMohammad Ali Mauj Rampuri
duur tak raah meñ kāñTe haiñ bahut
mere bhī chāhne vaale haiñ bahut
ghar se niklo na badal kar chehre
shahr meñ ā.īna-ḳhāne haiñ bahut
kyā chhupeñ ḳhushbueñ rusvā.ī kī
pyaar ke phuul mahakte haiñ bahut
aur kuchh bhī nahīñ apne bas meñ
yaad kar ke tujhe rote haiñ bahut
tū bhī tanhā hai bichhaḌ kar ham se
ham bhī ai dost akele haiñ bahut
ik tujhī se hai sarokār hameñ
yuuñ to allāh ke bande haiñ bahut
'mauj' iz.hār-e-mohabbat ke liye
āñkhoñ āñkhoñ meñ ishāre haiñ bahut
dur tak rah mein kanTe hain bahut
mere bhi chahne wale hain bahut
ghar se niklo na badal kar chehre
shahr mein aaina-KHane hain bahut
kya chhupen KHushbuen ruswai ki
pyar ke phul mahakte hain bahut
aur kuchh bhi nahin apne bas mein
yaad kar ke tujhe rote hain bahut
tu bhi tanha hai bichhaD kar hum se
hum bhi ai dost akele hain bahut
ek tujhi se hai sarokar hamein
yun to allah ke bande hain bahut
'mauj' izhaar-e-mohabbat ke liye
aankhon aankhon mein ishaare hain bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.