dur tak rah gai hai tanhai
duur tak rah ga.ī hai tanhā.ī
ḳhud-parastī kī ye sazā paa.ī
ab to dīdār bhī mayassar kar
jab atā kī hai mujh ko bīnā.ī
kyā tirā koī bhī nahīñ hai yahāñ
tanz kartī hai roz tanhā.ī
dūsrā ishq karke dekh liyā
ho na paa.ī tumhārī bharpā.ī
kaun merī galī meñ aayā hai
kis ne saarī fazā hai mahkā.ī
mas.ale baat kar ke hal hote
aap ḳhāmosh ho ga.e bhaa.ī
jab bhī ḳhalvat meñ sochtā huuñ tujhe
raqs kartī hai merī tanhā.ī
jis kī ḳhātir ujaḌ gayā 'shīrāz'
ab talak dil meñ hai vo harjā.ī
dur tak rah gai hai tanhai
KHud-parasti ki ye saza pai
ab to didar bhi mayassar kar
jab ata ki hai mujh ko binai
kya tera koi bhi nahin hai yahan
tanz karti hai roz tanhai
dusra ishq karke dekh liya
ho na pai tumhaari bharpai
kaun meri gali mein aaya hai
kis ne sari faza hai mahkai
masale baat kar ke hal hote
aap KHamosh ho gae bhai
jab bhi KHalwat mein sochta hun tujhe
raqs karti hai meri tanhai
jis ki KHatir ujaD gaya 'shiraaz'
ab talak dil mein hai wo harjai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.