dur tak suni paDi hai rahguzar dekhega kaun
duur tak suunī paḌī hai rahguzar dekhegā kaun
apnī manzil hī nahīñ to rāhbar dekhegā kaun
chāñdnī kī bad-du'ā apnā asar dikhlā ga.ī
kis qadar tārīkiyāñ haiñ chāñd par dekhegā kaun
jāgtī āñkhoñ pe āḳhir niiñd ġhālib aa ga.ī
ab tumhārā rāsta bhī rāt-bhar dekhegā kaun
apne ghar kā sāz-o-sāmāñ ham ne girvī rakh diyā
hañste hañste zahr piine kā hunar dekhegā kaun
jaan kā ḳhatra to hai hī jaal bhī kamzor hai
machhliyoñ ke shauq meñ paanī magar dekhegā kaun
ab ġhazal ke naam par 'fārūq' kuchh bhī pesh kar
log sab masrūf haiñ zer-o-zabar dekhegā kaun
dur tak suni paDi hai rahguzar dekhega kaun
apni manzil hi nahin to rahbar dekhega kaun
chandni ki bad-du'a apna asar dikhla gai
kis qadar tarikiyan hain chand par dekhega kaun
jagti aankhon pe aaKHir nind ghaalib aa gai
ab tumhaara rasta bhi raat-bhar dekhega kaun
apne ghar ka saz-o-saman hum ne girwi rakh diya
hanste hanste zahr pine ka hunar dekhega kaun
jaan ka KHatra to hai hi jal bhi kamzor hai
machhliyon ke shauq mein pani magar dekhega kaun
ab ghazal ke nam par 'faruq' kuchh bhi pesh kar
log sab masruf hain zer-o-zabar dekhega kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.