dur tum se rahun ki pas rahun
duur tum se rahūñ ki paas rahūñ
merī qismat hai maiñ udaas rahūñ
ye zarūrī nahīñ ke har lamha
maiñ tire jism kā libās rahūñ
koī manzar ho koī mausam ho
'umr-bhar ban ke terī aas rahūñ
ye tamanna nahīñ hai vahshat hai
maiñ samundar ke lab kī pyaas rahūñ
koī mere binā taḌaptā rahe
maiñ 'ananyā' kisī kī ḳhaas rahūñ
dur tum se rahun ki pas rahun
meri qismat hai main udas rahun
ye zaruri nahin ke har lamha
main tere jism ka libas rahun
koi manzar ho koi mausam ho
'umr-bhar ban ke teri aas rahun
ye tamanna nahin hai wahshat hai
main samundar ke lab ki pyas rahun
koi mere bina taDapta rahe
main 'ananya' kisi ki KHas rahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.