dusra faisla nahin hota
dūsrā faisla nahīñ hotā
ishq meñ mashvara nahīñ hotā
ḳhud hī sau rāste nikalte haiñ
jab koī rāsta nahīñ hotā
jab talak rū-ba-rū na ho koī
aa.ina aa.ina nahīñ hotā
apnā samjhā to kah diyā varna
ġhair se to gila nahīñ hotā
kuchh na kuchh pahle khonā paḌtā hai
muft meñ tajraba nahīñ hotā
dusra faisla nahin hota
ishq mein mashwara nahin hota
KHud hi sau raste nikalte hain
jab koi rasta nahin hota
jab talak ru-ba-ru na ho koi
aaina aaina nahin hota
apna samjha to kah diya warna
ghair se to gila nahin hota
kuchh na kuchh pahle khona paDta hai
muft mein tajraba nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.