dusra koi chehra dekhta nahin hai tu
dūsrā koī chehra dekhtā nahīñ hai tū
farz kar liyā maiñ ne bevafā nahīñ hai tū
saath saath chalte haiñ jabki donoñ bārish meñ
tar-ba-tar huuñ maiñ lekin bhīgtā nahīñ hai tū
sharh-e-ġham to kyā kyā hogī raqs dekhne vaale
ghuñghruoñ se paa.el ke āshnā nahīñ hai tū
vo ḳhushī huuñ jis ko tū chāhtā hai apnānā
aur dard vo jis ko jheltā nahīñ hai tū
dusra koi chehra dekhta nahin hai tu
farz kar liya main ne bewafa nahin hai tu
sath sath chalte hain jabki donon barish mein
tar-ba-tar hun main lekin bhigta nahin hai tu
sharh-e-gham to kya kya hogi raqs dekhne wale
ghunghruon se pael ke aashna nahin hai tu
wo KHushi hun jis ko tu chahta hai apnana
aur dard wo jis ko jhelta nahin hai tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.