Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dusra ruKH nahin jis ka usi taswir ka hai

Azlan shah

dusra ruKH nahin jis ka usi taswir ka hai

Azlan shah

MORE BYAzlan shah

    dūsrā ruḳh nahīñ jis usī tasvīr hai

    mas.ala bhūle hue ḳhvāb ta.abīr hai

    chand qadmoñ se ziyāda nahīñ chalne paate

    jis ko dekho vahī qaidī kisī zanjīr hai

    jo bhī karnā hai faqat dil tasallī ke liye

    vaqt tahrīr hai aur na tadbīr hai

    tum mohabbat use naam bhī de lo lekin

    ye to qissa kisī haarī huī taqdīr hai

    ye jo chalne nahīñ paate tirī jānib dar-asl

    jaldī jaldī meñ kahīñ Dar hameñ tāḳhīr hai

    bilkul aise mujhe hāsil hai himāyat sab

    har koī jaise taraf-dār yahāñ hiir hai

    dusra ruKH nahin jis ka usi taswir ka hai

    masala bhule hue KHwab ki tabir ka hai

    chand qadmon se ziyaada nahin chalne pate

    jis ko dekho wahi qaidi kisi zanjir ka hai

    jo bhi karna hai faqat dil ki tasalli ke liye

    waqt tahrir ka hai aur na tadbir ka hai

    tum mohabbat ka use nam bhi de lo lekin

    ye to qissa kisi haari hui taqdir ka hai

    ye jo chalne nahin pate teri jaanib dar-asl

    jaldi jaldi mein kahin Dar hamein taKHir ka hai

    bilkul aise mujhe hasil hai himayat sab ki

    har koi jaise taraf-dar yahan hir ka hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now